Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_af1afc1ec13bc6cb244db57df1b986e1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaj Ki Raat KaTegi Kyun Kar Saz Na Jam Na To Mehman - Ibn-e-Safi Poetry In English - Darsaal

Aaj Ki Raat KaTegi Kyun Kar Saz Na Jam Na To Mehman

aaj ki raat kaTegi kyun kar saz na jam na to mehman

subh talak kya jaaniye kya ho aankh lage ya jae jaan

pichhli raat ka sannaTa kahta hai ab kya aaenge

aql ye kahti hai so jao dil kahta hai ek na man

mulk-e-tarab ke rahne walo ye kaisi majburi hai

honTon ki basti mein charaghan dil ke nagar itne sunsan

un ki banhon ke halqe mein ishq bana hai pir-e-tariq

ab aise mein batao yaro kis ja kufr kidhar iman

hum na kahenge aap ke aage ro ro dide khoe hain

aap ne bipta sun li hamari baDa karam lakhon ehsan

(1206) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Ki Raat KaTegi Kyun Kar Saz Na Jam Na To Mehman In English By Famous Poet Ibn-e-Safi. Aaj Ki Raat KaTegi Kyun Kar Saz Na Jam Na To Mehman is written by Ibn-e-Safi. Read famous Poem Aaj Ki Raat KaTegi Kyun Kar Saz Na Jam Na To Mehman for youth and Student by Ibn-e-Safi. Free Download Aaj Ki Raat KaTegi Kyun Kar Saz Na Jam Na To Mehman in PDF.