Ajab Hai Khel Carrom Ka
safed aur siyah goTon ke hasin ek daere andar
bahut hi surKH rangat ki hasin ek goT hoti hai
ki jis ko rani kahte hain
har ek khelne wale ki bas ek hi tamanna hai
isi carrom ke konon mein jo chhoTe chhoTe kamre hain
unhen aabaad karna hai kanizon se aur rani se
khilaDi chaal chalta hai stricker ki madad se
aamad-o-raft un kanizon ki
lagi rahti hai kamron mein
kahin gori kahin kali kabhi rani
ajab hai khel carrom ka
har ek yan khelne wala isi dhun mein hai sargardan
isi kawish mein rahta hai
kisi tarah se rani ko wo us jaanib ko le jae
jo us ki jit ka ghar hai hai maskan us ki fath ka
mahal jo hai tamanna ka jo us ki rajdhani hai
jahan pe ja ke ye rani usi ki ho ke rah jae
ajab hai khel carrom ka
udhar rani ki sharten hain karega jo bhi puri ye
to rani tab hi jaegi
lo us ki shart bhi sun lo ki
kaniz-e-KHas ko le kar hi rani aap ki hogi
karegi kamre ka ruKH jab kaniz-e-KHas hamrah ho
siyah ho chahe gori ho magar wo sath mein jae
ajab hai khel carrom ka
mujhe rani ki sharton par baDa hi pyar aaya hai
khilaDi to nahin rani magar rani to hai aaKHir
huma fath-o-nusrat ka
aur akasr kaamrani ka
usi ke sar pe jata hai
ki jis ke pas rani hai
kai tarah se dekho to
bahut hain zawiye us mein
bahut asbaq hain us mein
dariche zehn ke khole
ajab hai khel carrom ka
kabhi rani ke hote bhi
shikast-e-fash hoti hai
kabhi rani ke hone se
muqaddar jagmaga uTThe
muzaffar aap ko kar de
kabhi rani to milti hai magar
tum haar jate ho
kabhi aisa bhi hota hai
koi rani ko na pa kar
bhi tum se jit jata hai
ajab hai khel carrom ka
(1062) Peoples Rate This