Wo KHwab Jaisa Tha Goya Sarab Lagta Tha
wo KHwab jaisa tha goya sarab lagta tha
hasin aisa ki faKHr-e-gulab lagta tha
halim aisa ki diwani ek duniya thi
ki us se hath milana sawab lagta tha
nibhana rishton ka nazuk kaThin amal nikla
jo dekhne mein to sidha hisab lagta tha
surahi-dar thi gardan nasha bhare aariz
sarapa us ka mujassam sharab lagta tha
wo bolta to faza naghmagi mein rach jati
gale mein ho koi us ke rabab lagta tha
kahani ek nai deti honT ki jumbish
wo lab jo kholta goya kitab lagta tha
wo shaKHs aaj gurezan hai sae se mere
jise pasina bhi mera gulab lagta tha
amal mein feal mein us ke tazad tha 'mufti'
agarche dil mein utarta KHitab lagta tha
(1032) Peoples Rate This