Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4980a3df2f4d45fa879e8e441bbf8183, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya - Ibn-e-Mufti Poetry In English - Darsaal

Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya

phir se wo lauT kar nahin aaya

phir dua mein asar nahin aaya

chain aaega kaise aaj ki shab

tare nikle, qamar nahin aaya

likhte dekha tha KHwab mein un ko

ab talak nama-bar nahin aaya

mere marne pe aaya sara jahan

jo tha ek ba-KHabar nahin aaya

chal basi man liye khuli aankhen

us ka, nur-e-nazar nahin aaya

yun to patthar bahut se dekhe hain

koi tum sa nazar nahin aaya

sham Dhalne lagi hai ab 'mufti'

subh ka bhula ghar nahin aaya

(886) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya In English By Famous Poet Ibn-e-Mufti. Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya is written by Ibn-e-Mufti. Read famous Poem Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya for youth and Student by Ibn-e-Mufti. Free Download Phir Se Wo LauT Kar Nahin Aaya in PDF.