Kar Bura To Bhala Nahin Hota
kar bura to bhala nahin hota
kar bhala to bura nahin hota
ek wahi lapata nahin hota
jis ko apna pata nahin hota
sab nishane agar sahih hote
tir koi KHata nahin hota
kaun aashiq hai kaun hai mashuq
pyar mein faisla nahin hota
koi aisi jagah hi dikhlao
jis jagah par KHuda nahin hota
kucha-e-yar jo na jata ho
rasta rasta nahin hota
kaamyabi ke raston ki taraf
bich ka rasta nahin hota
sari duniya to ho gai meri
ek faqat tu mera nahin hota
dil nazar par agar nazar rakhte
pyar ka hadsa nahin hota
jab talak tu na ho KHayalon mein
koi sajda rawa nahin hota
us ki maKHmur aankh ke aage
mai-kada mai-kada nahin hota
koshishen KHud hi karna paDti hain
bhiD mein rasta nahin hota
ek arsa hua ki nind se bhi
aamna-samna nahin hota
pyar ho jae kab kahan kis se
ye kisi ko pata nahin hota
hum ne dekha hai ru-ba-ru un ke
aaina aaina nahin hota
sadqa KHairaat kijiye sahab
muskurana bura nahin hota
kya karamat bhi ab nahin hogi
mana ab moajaza nahin hota
hath mushkil mein chhoD jate ho
ye to phir thamna nahin hota
pahle nazren aTuT thin aur ab
hath dil se juda nahin hota
'mufti' hum hi bhanwar-nasib rahe
warna sahil pe kya nahin hota
(1030) Peoples Rate This