Ghalat-fahmi Ki Sarhad Par Kar Ke
ghalat-fahmi ki sarhad par kar ke
miTa do fasle isar kar ke
ye karobar bhi kab ras aaya
KHasare mein rahe hum pyar kar ke
lagin sadiyan banane mein jo rishte
wo ek pal mein chale mismar kar ke
gale mil kar hi duri dur hogi
milega kya hamein takrar kar ke
sage bhai bhi ab ek chhat ke niche
wo rahte hain magar diwar kar ke
masail hain ki baDhte ja rahe hain
gulon ka barmala izhaar kar ke
ganwa di izzat-e-sadat 'mufti'
mohabbat mein nigahen chaar kar ke
(1236) Peoples Rate This