Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_14f0e27c53891bd88904135d7b201af9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Barq Ne Jab Bhi Aankh Kholi Hai - Ibn-e-Mufti Poetry In English - Darsaal

Barq Ne Jab Bhi Aankh Kholi Hai

barq ne jab bhi aankh kholi hai

aashiyanon ne KHak roli hai

yaad ka kya hai aa gai phir se

aankh ka kya hai phir se ro li hai

tum bichha lo musalla-e-chahat

main ne dahliz dil ki dho li hai

dil ki baaton ko dil samajhta hai

dil ki boli ajib boli hai

parda uThte hi meri nazron se

kaenat-e-yaqin Doli hai

muskurae na chand kyun 'mufti'

aai jo chandni ki Doli hai

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barq Ne Jab Bhi Aankh Kholi Hai In English By Famous Poet Ibn-e-Mufti. Barq Ne Jab Bhi Aankh Kholi Hai is written by Ibn-e-Mufti. Read famous Poem Barq Ne Jab Bhi Aankh Kholi Hai for youth and Student by Ibn-e-Mufti. Free Download Barq Ne Jab Bhi Aankh Kholi Hai in PDF.