Ye Sarae Hai
ye sarae hai yahan kis ka Thikana DhunDo
yan to aate hain musafir so chale jate hain
han yahi nam tha kuchh aisa hi chehra-mohra
yaad paDta hai ki aaya tha musafir koi
sune aangan mein phira karta tha tanha tanha
kitni gahri thi nigahon ki udasi us ki
log kahte the ki hoga koi aaseb-zada
hum ne aisi bhi koi baat na dekhi us mein
ye bhi himmat na hui pas biTha ke puchhen
dil ye kahta tha koi dard ka mara hoga
lauT aaya hai jo aawaz na us ki pai
jaane kis dar pe kise ja ke pukara hoga
yan to har roz ki baaten hain ye jiten maten
ye bhi chahat ke kisi khel mein haara hoga
ek taswir kuchh aap se milti julti
ek tahrir thi par us ka to qissa chhoDen
chand ghazlen thin ki likkhen kabhi likh kar kaTen
sher achchhe the jo sun lo to kaleja thamo
bas yahi mal musafir ka tha hum ne dekha
jaane kis rah mein kis shaKHs ne luTa us ko
guzra karte hain sulagte hue baqi ayyam
log jab aag lagate hain bujhate bhi bhi nahin
ajnabi pit ke maron se kasi ko kya kaam
bastiyon wale kabhi naz uThate bhi nahin
chhin lete hain kisi shaKHs ke ji ka aaram
phir bulate bhi nahin pas biThate bhi nahin
ek din subh jo dekha to sarae mein na tha
jaane kis des gaya hai wo diwana DhunDo!!
hum se puchho to na aaega wo jaane wala
tum to nahaq ko bhaTakne ka bahana DhunDo
yan to aaya jo musafir yun hi shab-bhar Thahra
ye sarae hai yahan kis ka Thikana DhunDo
(1369) Peoples Rate This