Ye Kaun Aaya
'insha'-ji ye kaun aaya kis des ka basi hai
honTon pe tabassum hai aankhon mein udasi hai
KHwabon ke gulistan ki KHush-bu-e-dil-ara hai
ya subh-e-tamanna ke mathe ka sitara hai
tarsi hui nazron ko ab aur na tarsa re
ai husn ke saudagar ai rup ke banjare
ramna dil-e-'insha' ka ab tera Thikana ho
ab koi bhi surat ho ab koi bahana ho
KHakistar-e-dil ko hai phir shola-ba-jaan hona
hairat ka jahan hona hasrat ka nishan hona
ai shaKHs jo tu aakar yun dil mein samaya hai
tu dard ki darman hai to dhup ki saya hai?
nainan tere jadu hain gesu tere KHushbu hain
baaten kisi jangal mein bhaTka hua aahu hain
maqsud-e-wafa sun le kya saf hai sada hai
jine ki tamanna hai marne ka irada hai
(1301) Peoples Rate This