Ye Baaten JhuTi Baaten Hain
ye baaten jhuTi baaten hain ye logon ne phailai hain
tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain
hain lakhon rog zamane mein kyun ishq hai ruswa be-chaara
hain aur bhi wajhen wahshat ki insan ko rakhtin dukhiyara
han be-kal be-kal rahta hai ho pit mein jis ne ji haara
par sham se le kar subh talak yun kaun phirega aawara
ye baaten jhuTi baaten ye logon ne phailain hain
tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain
ye baat ajib sunate ho wo duniya se be-as hue
ek nam suna aur ghash khaya ek zikr pe aap udas hue
wo ilm mein aflatun sune wo sher mein tulsidas hue
wo tis baras ke hote hain wo B-A MA pas hue
ye baaten jhuTi baaten hain ye logon ne phailai hain
tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain
gar ishq kiya hai tab kya hai kyun shad nahin aabaad nahin
jo jaan liye bin Tal na sake ye aisi bhi uftad nahin
ye baat to tum bhi manoge wo 'qais' nahin farhad nahin
kya hijr ka daru mushkil hai kya wasl ke nusKHe yaad nahin
ye baaten jhuTi baaten hain ye logon ne phailai hain
tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain
wo laDki achchhi laDki hai tum nam na lo hum jaan gae
wo jis ke lambe gesu hain pahchan gae pahchan gae
han sath hamare 'insha' bhi is ghar mein the mehman gae
par us se to kuchh baat na ki anjaan rahe anjaan gae
ye baaten jhuTi baaten hain ye logon ne phailai hain
tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain
jo hum se kaho hum karte hain kya 'insha' ko samjhana hai
us laDki se bhi kah lenge go ab kuchh aur zamana hai
ya chhoDen ya takmil karen ye ishq hai ya afsana hai
ye kaisa gorakh-dhanda hai ye kaisa tana-bana hai
ye baaten kaisi baaten hain jo logon ne phailai hain
tum 'insha'-ji ka nam na lo kya 'insha'-ji saudai hain
(1330) Peoples Rate This