Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5437da1729a25a7292f7a68de4f10a58, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sab Maya Hai - Ibn E Insha Poetry In English - Darsaal

Sab Maya Hai

sab maya hai, sab Dhalti phirti chhaya hai

is ishq mein hum ne jo khoya jo paya hai

jo tum ne kaha hai, 'faiz' ne jo farmaya hai

sab maya hai

han gahe gahe did ki daulat hath aai

ya ek wo lazzat nam hai jis ka ruswai

bas is ke siwa to jo bhi sawab kamaya hai

sab maya hai

ek nam to baqi rahta hai, gar jaan nahin

jab dekh liya is saude mein nuqsan nahin

tab shama pe dene jaan patinga aaya hai

sab maya hai

malum hamein sab qais miyan ka qissa bhi

sab ek se hain, ye ranjha bhi ye 'insha' bhi

farhad bhi jo ek nahr si khod ke laya hai

sab maya hai

kyun dard ke name likhte likhte raat karo

jis sat samundar par ki nar ki baat karo

us nar se koi ek ne dhoka khaya hai?

sabab maya hai

jis gori par hum ek ghazal har sham likhen

tum jaante ho hum kyunkar us ka nam likhen

dil us ki bhi chaukhaT chum ke wapas aaya hai

sab maya hai

wo laDki bhi jo chand-nagar ki rani thi

wo jis ki alhaD aankhon mein hairani thi

aaj us ne bhi paigham yahi bhijwaya hai

sab maya hai

jo log abhi tak nam wafa ka lete hain

wo jaan ke dhoke khate, dhoke dete hain

han Thok-baja kar hum ne hukm lagaya hai

sab maya hai

jab dekh liya har shaKHs yahan harjai hai

is shahr se dur ek kuTiya hum ne banai hai

aur us kuTiya ke mathe par likhwaya hai

sab maya hai

(5604) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Maya Hai In English By Famous Poet Ibn E Insha. Sab Maya Hai is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Sab Maya Hai for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Sab Maya Hai in PDF.