Phir Sham Hui
phailta phailta sham-e-gham ka dhuan
ek udasi ka tanta hua saeban
unche unche minaron ke sar pe rawan
dekh pahuncha hai aaKHir kahan se kahan
jhankta surat-e-KHail-e-awargan
ghurfa ghurfa bahr kaKH-o-ku shahr mein
dafatan sail-e-zulmat ko chirta
jal uTha dur basti ka pahla diya
panchhiyon ne bhi pachchhim ka rasta liya
KHair jao azizo magar dekhna
ek jugnu bhi mishal si le ke chala
hai use bhi koi justuju shahr mein?
aasman par rawan surmai baadalo
han tumhin kya uDo aur unche uDo
bagh-e-alam ke taza shagufta gulu
be-niyazana mahka karo KHush raho
lekin itna bhi socha, kabhi zalimo!
hum bhi hain aashiq-e-rang-o-bu shahr mein
koi dekhe ye majburiyan duriyan
ek hi shahr mein hum kahan tum kahan
doston ne bhi chhoDi hain dil-dariyan
aaj waqf-e-gham-e-ulfat-e-raegan
hum jo phirte hain wahshat-zada sargiran
the kabhi sahib-e-abru shahr mein
log tanon se kya kya jatate nahin
aise rahi to manzil ko pate nahin
ji se ek dusre ko bhulate nahin
samne bhi magar aate jate nahin
aur jaen to aankhen milate nahin
hae kya kya nahin guftugu shahr mein
chand nikla hai daghon ki mishal liye
dur girja ke minaron ki oT se
aa meri jaan aa ek se do bhale
aaj phere karen kucha-e-yar ke
aur hai kaun dard-ashna baware!
ek main shahr mein, ek tu shahr mein
(1206) Peoples Rate This