Lab Par Nam Kisi Ka Bhi Ho
lab par nam kisi ka bhi ho, dil mein tera naqsha hai
ai taswir banane wali jab se tujh ko dekha hai
be-tere kya wahshat hum ko, tujh bin kaisa sabr o sukun
tu hi apna shahr hai jaani tu hi apna sahra hai
nile parbat udi dharti, chaaron kuT mein tu hi tu
tujh se apne ji ki KHalwat tujh se man ka mela hai
aaj to hum bikne ko aae, aaj hamare dam laga
yusuf to bazar-e-wafa mein, ek Tike ko bikta hai
le jaani ab apne man ke pairahan ki girhen khol
le jaani ab aadhi shab hai, chaar taraf sannaTa hai
tufanon ki baat nahin hai, tufan aate jate hain
tu ek narm hawa ka jhonka, dil ke bagh mein Thahra hai
ya tu aaj hamein apna le, ya tu aaj hamara ban
dekh ki waqt guzarta jae kaun abad tak jita hai
farda mahz fusun ka parda, hum to aaj ke bande hain
hijr o wasl, wafa aur dhoka sab kuchh aaj pe rakkha hai
(978) Peoples Rate This