Kya Dhoka Dene Aaogi
hum banjare dil wale hain
aur painTh mein Dere Dale hain
tum dhoka dene wali ho?
hum dhoka khane wale hain
is mein to nahin sharmaogi?
kya dhoka dene aaogi?
sab mal nikalo, le aao
ai basti walo le aao
ye tan ka jhuTa jadu bhi
ye man ki jhuTi KHushbu bhi
ye tal banate aansu bhi
ye jal bichhate gesu bhi
ye larzish Dolte sine ki
par sach nahin bolte sine ki
ye honT bhi, hum se kya chori
kya sach-much jhuTe hain gori?
in ramzon mein in ghaton mein
in wadon mein in baaton mein
kuchh khoT haqiqat ka to nahin?
kuchh mail sadaqat ka to nahin?
ye sare dhoke le aao
ye pyare dhoke le aao
kyun rakkho KHud se dur hamein
jo dam kaho manzur hamein
in kanch ke mankon ke badle
han bolo gori kya logi?
tum ek jahan ki ashrafiyan?
ya dil aur jaan ki ashrafiyan?
(1408) Peoples Rate This