Kuchh De Ise RuKHsat Kar
kuchh de ise ruKHsat kar kyun aankh jhuka li hai
han dar pe tere maula! 'insha' bhi sawali hai
is baat pe kyun is ki itna bhi hijab aae
fariyaad se be-bahra kashkol se KHali hai
shaer hai to adna hai, aashiq hai to ruswa hai
kis baat mein achchha hai kis wasf mein aali hai
kis din ka murshid hai, kis kesh ka mojid hai
kis shahr ka shahna hai kis des ka wali hai?
tazim ko uThte hain is waste dil wale
hazrat ne mashiKHat ki ek tarah nikali hai
aawara o sargardan kafani-ba-gulu-pechan
daman bhi durida hai gudDi bhi sambhaali hai
aawara hai rahon mein, duniya ki nigahon mein
izzat bhi miTa li hai tamkin bhi ganwa li hai
aadab se begana, dar aaya hai diwana
ne hath mein tohfa hai, ne sath mein Dali hai
baKHshish mein tammul hai aur aankh jhuka li hai
kuchh dar pe tere maula, ye baat nirali hai
'insha' ko bhi ruKHsat kar, 'insha' ko bhi kuchh de de
'insha' se hazaron hain, 'insha' bhi sawali hai
(1339) Peoples Rate This