Kal Humne Sapna Dekha Hai
kal hum ne sapna dekha hai
jo apna ho nahin sakta hai
us shaKHs ko apna dekha hai
wo shaKHs ki jis ki KHatir hum
is des phiren us des phiren
jogi ka bana kar bhes phiren
chahat ke nirale git likhen
ji mohne wale git likhen
dharti ke mahakte baghon se
kaliyon ki jholi bhar laen
ambar ke sajile manDal se
taron ki Doli bhar laen
han kis ke liye sab us ke liye
wo jis ke lab par Tesu hain
wo jis ke nainan aahu hain
jo KHar bhi hai aur KHushbu bhi
jo dard bhi hai aur daru bhi
wo allhaD si wo chanchal si
wo shaer si wo pagal si
log aap-hi-ap samajh jaen
hum nam na us ka batlaen
ai dekhne walo tum ne bhi
us nar ki pit ki aanchon mein
is dil ka tina dekha hai?
kal hum ne sapna dekha hai
(1076) Peoples Rate This