Dil Ek KuTiya Dasht Kinare
duniya-bhar se dur ye nagri
nagri duniya-bhar se nirali
andar armanon ka mela
bahar se dekho to KHali
hum hain is kuTiya ke jogi
hum hain is nagri ke wali
hum ne taj rakkha hai zamana
tum aana to tanha aana
dil ek kuTiya dasht kinare
basti ka sa haal nahin hai
mukhiya pir prohit payaade
in sab ka janjal nahin hai
na baniye na seTh na Thakur
painTh nahin chaupal nahin hai
sona rupa chauki masnad
ye bhi mal-manal nahin hai
lekin ye jogi dil wala
ai gori kangal nahin hai
chaho jo chahat ka KHazana
tum aana aur tanha aana
aahu mange ban ka ramna
bhanwra chahe phul ki Dali
sukhe khet ki konpal mange
ek ghanghor badriya kali
dhup jale kahin saya chahen
andhi raaten dip diwali
hum kya mangen hum kya chahen
honT sile aur jholi KHali
dil bhanwra na phul na konpal
bagiya na bagiya ka mali
dil aahu na dhup na saya
dil ki apni baat nirali
dil to kisi darshan ka bhuka
dil to kisi darshan ka sawali
nam liye bin paDa pukare
kise pukare dasht kinare
ye to ek duniya ko chahen
in ko kis ne apna jaana
aur to sab logon ke Thikane
ab bhaTken to aap hi bhaTken
chhoDa duniya ko bhaTkana
git kabat aur nazmen ghazlen
ye sab in ka mal purana
jhuTi baaten sachchi baaten
biti baaten kya dohrana
ab to gori nae sire se
andhiyaron mein dip jalana
majburi? kaisi majburi
aana ho to lakh bahana
aana is kuTiya ke dware
dil ek kuTiya dasht kinare
(3257) Peoples Rate This