Ai Mere Soch-nagar Ki Rani
tujh se jo main ne pyar kiya hai tere liye? nahin apne liye
waqt ki be-unwan kahani kab tak be-unwan rahe
ai mere soch-nagar ki rani ai mere KHuld-e-KHayal ki hur
itne dinon jo main ghulta raha hun tere bina yunhi dur hi dur
soch to kya phal mujh ko mila main man se gaya phir tan se gaya
shahr-e-watan mein ajnabi Thahra aaKHir shahr-e-watan se gaya
ruh ki pyas bujhani thi par yahan honTon ki pyas bhi bujh na saki
bachte sambhalte bhi ek sulagta rog bani mere ji ki lagi
dur ki baat na soch abhi mere hat mein tu zara hat to de
tujh se jo main ne pyar kiya hai tere liye? nahin apne liye
bagh mein hai ek bele ka taKHta bhini hai is bele ki sugandh
ai kaliyo kyun itne dinon tum rakkhe rahin ise god mein band
kitne hi hum se rup ke rasiya aae yahan aur chal bhi diye
tum ho ki itne husn ke hote ek na daman tham sake
sehn-e-chaman par bhaunron ke baadal ek hi pal ko chhaenge
phir na wo ja kar lauT sakenge phir na wo ja kar aaenge
ai mere soch-nagar ki rani waqt ki baaten rang aur bu
har koi sath kisi ka DhunDe gul hon ki bele main hun ki tu
jo kuchh kahna hai abhi kah le jo kuchh sunna hai sun le
tujh se jo main ne pyar kiya hai tere liye? nahin apne liye
dil ki na puchho kya kuchh chahe dil ka to phaila hai daman
git se gal ghazal si aankhen saad-e-simin barg-e-dahan
juDe ke inhin phulon ko dekho kal ki si in mein bas kahan
ek ek tara kar ke Dubi mathe ki tannaz afshan
sahne ka dukh sah na sake hum kahne ki baaten kah na sake
pas tere kabhi aa na sake hum dur bhi tujh se rah na sake
kis se kahe ab ruh ki bipta kis ko sunae man ki baat
dur ki rah bhaTakta rahi jiwan-raat ghaneri raat
honTon ki pyas bujhani hai ab tere ji ko ye baat lage na lage
tujh se jo main ne pyar kiya hai tere liye? nahin apne liye
(2589) Peoples Rate This