Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b99acfbd032c43bcb9572612cd0f4f62, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raat Ke KHwab Sunaen Kis Ko Raat Ke KHwab Suhane The - Ibn E Insha Poetry In English - Darsaal

Raat Ke KHwab Sunaen Kis Ko Raat Ke KHwab Suhane The

raat ke KHwab sunaen kis ko raat ke KHwab suhane the

dhundle dhundle chehre the par sab jaane-pahchane the

ziddi wahshi allhaD chanchal miThe log rasile log

honT un ke ghazlon ke misre aankhon mein afsane the

wahshat ka unwan hamari un mein se jo nar bani

dekhenge to log kahenge 'insha'-ji diwane the

ye laDki to in galiyon mein roz hi ghuma karti thi

is se un ko milna tha to is ke lakh bahane the

hum ko sari raat jagaya jalte bujhte taron ne

hum kyun un ke dar par utre kitne aur Thikane the

(1172) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ke KHwab Sunaen Kis Ko Raat Ke KHwab Suhane The In English By Famous Poet Ibn E Insha. Raat Ke KHwab Sunaen Kis Ko Raat Ke KHwab Suhane The is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Raat Ke KHwab Sunaen Kis Ko Raat Ke KHwab Suhane The for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Raat Ke KHwab Sunaen Kis Ko Raat Ke KHwab Suhane The in PDF.