Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9944d86163ba1648b4710c9d10de4999, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Pit Karna To Humse Nibhana Sajan Humne Pahle Hi Din Tha Kaha Na Sajan - Ibn E Insha Poetry In English - Darsaal

Pit Karna To Humse Nibhana Sajan Humne Pahle Hi Din Tha Kaha Na Sajan

pit karna to hum se nibhana sajan hum ne pahle hi din tha kaha na sajan

tum hi majbur ho hum hi muKHtar hain KHair mana sajan ye bhi mana sajan

ab jo hone ke qisse sabhi ho chuke tum hamein kho chuke hum tumhein kho chuke

aage dil ki na baaton mein aana sajan ki ye dil hai sada ka diwana sajan

ye bhi sach hai na kuchh baat ji ki bani suni raaton mein dekha kiye chandni

par ye sauda hai hum ko purana sajan aur jine ka apne bahana sajan

shahr ke log achchhe hain hamdard hain par hamari suno hum jahan-gard hain

dagh-e-dil mat kisi ko dikhana sajan ye zamana nahin wo zamana sajan

us ko muddat hui sabr karte hue aaj ku-e-wafa se guzarte hue

puchh kar us gada ka Thikana sajan apne 'insha' ko bhi dekh aana sajan

(1315) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pit Karna To Humse Nibhana Sajan Humne Pahle Hi Din Tha Kaha Na Sajan In English By Famous Poet Ibn E Insha. Pit Karna To Humse Nibhana Sajan Humne Pahle Hi Din Tha Kaha Na Sajan is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Pit Karna To Humse Nibhana Sajan Humne Pahle Hi Din Tha Kaha Na Sajan for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Pit Karna To Humse Nibhana Sajan Humne Pahle Hi Din Tha Kaha Na Sajan in PDF.