Log Hilal-e-sham Se BaDh Kar Pal Mein Mah-e-tamam Hue
log hilal-e-sham se baDh kar pal mein mah-e-tamam hue
hum har burj mein ghaTte ghaTte subh talak gumnam hue
un logon ki baat karo jo ishq mein KHush-anjam hue
najd mein qais yahan par 'insha' KHar hue nakaam hue
kis ka chamakta chehra laen kis suraj se mangen dhup
ghur andhera chha jata hai KHalwat-e-dil mein sham hue
ek se ek junun ka mara is basti mein rahta hai
ek hamin hushiyar the yaro ek hamin bad-nam hue
shauq ki aag nafas ki garmi ghaTte ghaTte sard na ho
chah ki rah dikha kar tum to waqf-e-daricha-o-baam hue
un se bahaar o bagh ki baaten kar ke ji ko dukhana kya
jin ko ek zamana guzra kunj-e-qafas mein ram hue
'insha'-sahib pau phaTti hai tare Dube subh hui
baat tumhaari man ke hum to shab bhar be-aram hue
(1024) Peoples Rate This