Kuchh Kahne Ka Waqt Nahin Ye Kuchh Na Kaho KHamosh Raho
kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho KHamosh raho
ai logo KHamosh raho han ai logo KHamosh raho
sach achchha par us ke jilau mein zahr ka hai ek pyala bhi
pagal ho kyun nahaq ko suqraat bano KHamosh raho
un ka ye kahna suraj hi dharti ke phere karta hai
sar-ankhon par suraj hi ko ghumne do KHamosh raho
mahbas mein kuchh habs hai aur zanjir ka aahan chubhta hai
phir socho han phir socho han phir socho KHamosh raho
garm aansu aur ThanDi aahen man mein kya kya mausam hain
is bagiya ke bhed na kholo sair karo KHamosh raho
aankhen mund kinare baiTho man ke rakkho band kiwaD
'insha'-ji lo dhaga lo aur lab si lo KHamosh raho
(1649) Peoples Rate This