Kal Chaudhwin Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera
kal chaudhwin ki raat thi shab bhar raha charcha tera
kuchh ne kaha ye chand hai kuchh ne kaha chehra tera
hum bhi wahin maujud the hum se bhi sab puchha kiye
hum hans diye hum chup rahe manzur tha parda tera
is shahr mein kis se milen hum se to chhuTin mahfilen
har shaKHs tera nam le har shaKHs diwana tera
kuche ko tere chhoD kar jogi hi ban jaen magar
jangal tere parbat tere basti teri sahra tera
hum aur rasm-e-bandagi aashuftagi uftadgi
ehsan hai kya kya tera ai husn-e-be-parwa tera
do ashk jaane kis liye palkon pe aa kar Tik gae
altaf ki barish teri ikram ka dariya tera
ai be-daregh o be-aman hum ne kabhi ki hai fughan
hum ko teri wahshat sahi hum ko sahi sauda tera
hum par ye saKHti ki nazar hum hain faqir-e-rehguzar
rasta kabhi roka tera daman kabhi thama tera
han han teri surat hasin lekin tu aisa bhi nahin
ek shaKHs ke ashaar se shohra hua kya kya tera
bedard sunni ho to chal kahta hai kya achchhi ghazal
aashiq tera ruswa tera shair tera 'insha' tera
(2071) Peoples Rate This