Jalwa-numai Be-parwai Han Yahi Rit Jahan Ki Hai
jalwa-numai be-parwai han yahi rit jahan ki hai
kab koi laDki man ka daricha khol ke bahar jhanki hai
aaj magar ek nar ko dekha jaane ye nar kahan ki hai
misr ki murat chin ki guDiya dewi hindostan ki hai
mukh par rup se dhup ka aalam baal andheri shab ki misal
aankh nashili baat rasili chaal bala ki banki hai
'insha'-ji use rok ke puchhen tum ko to muft mila hai husn
kis liye phir bazar-e-wafa mein tum ne ye jins giran ki hai
ek zara sa gosha de do apne pas jahan se dur
is basti mein hum logon ko hajat ek makan ki hai
ahl-e-KHirad tadib ki KHatir pathar le le aa pahunche
jab kabhi hum ne shahr-e-ghazal mein dil ki baat bayan ki hai
mulkon mulkon shahron shahron jogi ban kar ghuma kaun
qarya-ba-qarya sahra-ba-sahra KHak ye kis ne phanki hai
hum se jis ke taur hon baba dekhoge do ek hi aur
kahne ko to shahr-e-karachi basti dil-zadagan ki hai
(1232) Peoples Rate This