Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a54c01447f4d85c89daf1ceee02c49b4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jaane Tu Kya DhunDh Raha Hai Basti Mein Virane Mein - Ibn E Insha Poetry In English - Darsaal

Jaane Tu Kya DhunDh Raha Hai Basti Mein Virane Mein

jaane tu kya DhunDh raha hai basti mein virane mein

laila to ai qais milegi dil ke daulat-KHane mein

janam janam ke saton dukh hain us ke mathe par tahrir

apna aap miTana hoga ye tahrir miTane mein

mahfil mein us shaKHs ke hote kaif kahan se aata hai

paimane se aankhon mein ya aankhon se paimane mein

kis ka kis ka haal sunaya tu ne ai afsana-go

hum ne ek tujhi ko DhunDa is sare afsane mein

is basti mein itne ghar the itne chehre itne log

aur kisi ke dar pe na pahuncha aisa hosh diwane mein

(1145) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Tu Kya DhunDh Raha Hai Basti Mein Virane Mein In English By Famous Poet Ibn E Insha. Jaane Tu Kya DhunDh Raha Hai Basti Mein Virane Mein is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Jaane Tu Kya DhunDh Raha Hai Basti Mein Virane Mein for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Jaane Tu Kya DhunDh Raha Hai Basti Mein Virane Mein in PDF.