Is Shahr Ke Logon Pe KHatm Sahi KHush-talati-o-gul-pairahni
is shahr ke logon pe KHatm sahi KHush-talati-o-gul-pairahni
mere dil ki to pyas kabhi na bujhi mere ji ki to baat kabhi na bani
abhi kal hi ki baat hai jaan-e-jahan yahan fil ke fil the shor-kunan
ab nara-e-ishq na zarb-e-fughan gae kaun nagar wo wafa ke dhani
koi aur bhi morid-e-lutf hua mili ahl-e-hawas ko hawas ki saza
tere shahr mein the hamin ahl-e-wafa mili ek hamin ko jala-watani
ye to sach hai ki hum tujhe pa na sake teri yaad bhi ji se bhula na sake
tera dagh hai dil mein charagh-e-sifat tere nam ki zeb-e-gulu-kafni
tum saKHti-e-rah ka gham na karo har daur ki rah mein ham-safaro
jahan dasht-e-KHizan wahin wadi-e-gul jahan dhup kaDi wahan chhanw ghani
is ishq ke dard ki kaun dawa magar ek wazifa hai ek dua
paDho 'mir'-o-'kabir' ke bait kabit suno sher-e-'nazir' faqir-o-ghani
(905) Peoples Rate This