Insha-ji Hai Nam Unhi Ka Chaho To Tum Se Milwaen
'insha'-ji hai nam unhi ka chaho to tum se milwaen
un ki ruh dahakta lawa hum to un ke pas na jaen
ye jo log banon mein phirte jogi bai-ragi kahlaen
un ke hath adab se chumen un ke aage sis nawaen
na ye lal jaTaen rakhen na ye ang bhabut ramaen
na ye geru-rang faqiri-chola pahan pahan itraen
basti se guzren to sare panghaT ki alhaD ablaen
in ki pyas bujhane ko KHud umaD-ghumaD baadal ban jaen
nagri nagri ghumne walon mein un ki mashhur kathaen
waise baat karo to laj se un ki aankhen jhuk jhuk jaen
na un ki gudDi mein tanba paisa na manke malaen
prem ka kasa dard ki bhiksha git ghazal do hai kawitaen
(1045) Peoples Rate This