Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ddc5136d1bb000ce6fc053db0bb1fa0d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Jangal Ke Jogi Hum Ko Ek Jagah Aaram Kahan - Ibn E Insha Poetry In English - Darsaal

Hum Jangal Ke Jogi Hum Ko Ek Jagah Aaram Kahan

hum jangal ke jogi hum ko ek jagah aaram kahan

aaj yahan kal aur nagar mein subh kahan aur sham kahan

hum se bhi pit ki baat karo kuchh hum se bhi logo pyar karo

tum to pareshan ho bhi sakoge hum ko yahan pe dawam kahan

sanjh-samay kuchh tare nikle pal-bhar chamke Dub gae

ambar ambar DhunDh raha hai ab unhen mah-e-tamam kahan

dil pe jo bite sah lete hain apni zaban mein kah lete hain

'insha'-ji hum log kahan aur 'mir' ka rang-e-kalam kahan

(1494) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Jangal Ke Jogi Hum Ko Ek Jagah Aaram Kahan In English By Famous Poet Ibn E Insha. Hum Jangal Ke Jogi Hum Ko Ek Jagah Aaram Kahan is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Hum Jangal Ke Jogi Hum Ko Ek Jagah Aaram Kahan for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Hum Jangal Ke Jogi Hum Ko Ek Jagah Aaram Kahan in PDF.