Hamein Tum Pe Guman-e-wahshat Tha Hum Logon Ko Ruswa Kiya Tumne
hamein tum pe guman-e-wahshat tha hum logon ko ruswa kiya tum ne
abhi fasl gulon ki nahin guzri kyun daman-e-chaak siya tum ne
is shahr ke log baDe hi saKHi baDa man karen durweshon ka
par tum se to itne barham hain kya aan ke mang liya tum ne
kin rahon se ho kar aai ho kis gul ka sandesa lai ho
hum bagh mein KHush KHush baiThe the kya kar diya aa ke saba tum ne
wo jo qais gharib the un ka junun sabhi kahte hain hum se raha hai fuzun
hamein dekh ke hans to diya tum ne kabhi dekhe hain ahl-e-wafa tum ne
gham-e-ishq mein kari dawa na dua ye hai rog kaThin ye hai dard bura
hum karte jo apne se ho sakta kabhi hum se bhi kuchh na kaha tum ne
ab rah-raw-e-manda se kuchh na kaho han shad raho aabaad raho
baDi der se yaad kiya tum ne baDi dard se di hai sada tum ne
ek baat kahenge 'insha'-ji tumhein reKHta kahte umr hui
tum ek jahan ka ilm paDhe koi 'mir' sa sher kaha tum ne
(1136) Peoples Rate This