Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1de9f4e1b57ebd3e6946c8351b3bdc53, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Kis Ke Tasawwur Mein Jaane Raaton Ko Pareshan Hota Hai - Ibn E Insha Poetry In English - Darsaal

Dil Kis Ke Tasawwur Mein Jaane Raaton Ko Pareshan Hota Hai

dil kis ke tasawwur mein jaane raaton ko pareshan hota hai

ye husn-e-talab ki baat nahin hota hai meri jaan hota hai

hum teri sikhai mantiq se apne ko to samjha lete hain

ek KHar khaTakta rahta hai sine mein jo pinhan hota hai

phir un ki gali mein pahunchega phir sahw ka sajda kar lega

is dil pe bharosa kaun kare har roz musalman hota hai

wo dard ki us ne chhin liya wo dard ki us ki baKHshish tha

tanhai ki raaton mein 'insha' ab bhi mera mehman hota hai

(1116) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Kis Ke Tasawwur Mein Jaane Raaton Ko Pareshan Hota Hai In English By Famous Poet Ibn E Insha. Dil Kis Ke Tasawwur Mein Jaane Raaton Ko Pareshan Hota Hai is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Dil Kis Ke Tasawwur Mein Jaane Raaton Ko Pareshan Hota Hai for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Dil Kis Ke Tasawwur Mein Jaane Raaton Ko Pareshan Hota Hai in PDF.