Dil Hijr Ke Dard Se Bojhal Hai Ab Aan Milo To Behtar Ho
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se hum ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho
ek bhik ke donon kase hain ek pyas ke dono pyase hain
hum kheti hain tum baadal ho hum nadiyan hain tum sagar ho
ye dil hai ki jalte sine mein ek dard ka phoDa allhaD sa
na gupt rahe na phuT bahe koi marham ho koi nishtar ho
hum sanjh samay ki chhaya hain tum chaDhti raat ke chandraman
hum jate hain tum aate ho phir mel ki surat kyunkar ho
ab husn ka rutba aali hai ab husn se sahra KHali hai
chal basti mein banjara ban chal nagri mein saudagar ho
jis chiz se tujh ko nisbat hai jis chiz ki tujh ko chahat hai
wo sona hai wo hira hai wo maTi ho ya kankar ho
ab 'insha'-ji ko bulana kya ab pyar ke dip jalana kya
jab dhup aur chhaya ek se hon jab din aur raat barabar ho
wo raaten chand ke sath gain wo baaten chand ke sath gain
ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho
(2335) Peoples Rate This