Dekh Hamari Did Ke Karan Kaisa Qabil-e-did Hua
dekh hamari did ke karan kaisa qabil-e-did hua
ek sitara baiThe baiThe tabish mein KHurshid hua
aaj to jaani rasta takte sham ka chand padid hua
tu ne to inkar kiya tha dil kab na-ummid hua
aan ke is bimar ko dekhe tujh ko bhi taufiq hui
lab par us ke nam tha tera jab bhi dard shadid hua
han us ne jhalki dikhlai ek hi pal ko dariche mein
jaano ek bijli lahrai aalam ek shahid hua
tu ne hum se kalam bhi chhoDa arz-e-wafa ke sunte hi
pahle kaun qarib tha hum se ab to aur baid hua
duniya ke sab karaj chhoDe nam pe tere 'insha' ne
aur use kya thoDe gham the tera ishq mazid hua
(999) Peoples Rate This