Logon Ne Aakash Se Uncha Ja Kar Tamghe Pae

logon ne aakash se uncha ja kar tamghe pae

hum ne apna antar khoja diwane kahlae

kaise sapne kis ki aasha kab se hain mehman bane

tanhai ke sune aangan mein yaadon ke sae

aankhon mein jo aaj kisi ke badli ban ke jhum uThi hai

kya achchha ho aisi barse sab jal-thal ho jae

dhul bane ye baat alag hai warna ek din hote the

chanda ke hum sanghi-sathi taron ke ham-sae

aane wale ek pal ko main kaise batla paunga

aasha kab se dur khaDi hai bahon ko phailae

chand aur suraj donon aashiq dharti kis ka man rakhe

ek chandi ke gahne phenke ek sona bikhrae

kahne ki to baat nahin hai lekin kahni paDti hai

dil ki nagri mein mat jaana jo jae pachhtae

'majid' hum ne is jug se bas do hi chizen mangi hain

usha sa ek sundar chehra do nainan sharmae

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Logon Ne Aakash Se Uncha Ja Kar Tamghe Pae In English By Famous Poet Hussain Majid. Logon Ne Aakash Se Uncha Ja Kar Tamghe Pae is written by Hussain Majid. Read famous Poem Logon Ne Aakash Se Uncha Ja Kar Tamghe Pae for youth and Student by Hussain Majid. Free Download Logon Ne Aakash Se Uncha Ja Kar Tamghe Pae in PDF.