Uljhanen Itni Thin Manzar Aur Pas-manzar Ke Bich
uljhanen itni thin manzar aur pas-manzar ke bich
rah gai sari masafat mil ke patthar ke bich
ruKH se ye parda haTa behosh kar mujh ko tabib
guftugu jitni bhi ho phir zaKHm aur nashtar ke bich
us ko kya malum ahwal-e-dil-e-shisha-garan
warna aa jata kabhi to hath aur patthar ke bich
shauq-e-sajda bandagi waraftagi aur be-KHudi
mo'tabar sab us ki chaukhaT aur mere sar ke bich
ek qayamat husn us ka aur wo bhi jalwa-gar
main faqat mabhut jadu aur jadugar ke bich
main bhi KHuddari ka mara tha safai kuchh na di
us ne bhi matlab nikale lafz aur tewar ke bich
waqt aur masrufiyat ke masale sab ek taraf
duriyan itni nahin thin 'taj' apne ghar ke bich
(1393) Peoples Rate This