Subut-e-jurm Na Milne Ka Phir Bahana Kiya
subut-e-jurm na milne ka phir bahana kiya
ki adliya ne wahi faisla purana kiya
hawa ke apne masail hain aur charagh ke bhi
na wo ghalat na amal us ne mujrimana kiya
ye tum ne jang ka unwan hi badal Dala
alam sajaya na lashkar koi rawana kiya
hari bhari thin jo shaKHen wahi phalin phulin
usi shajar ko parindon ne aashiyana kiya
sawal main ne bhi rakkhe guzarishon ki tarah
badal ke us ne bhi andaz-e-dil-barana kiya
mere liye hi adawat ke dar bhi khole gae
mere hi nam mohabbat ka bhi KHazana kiya
hamesha wade hue taj ke hawale se
agarche taKHt ne wada kabhi wafa na kiya
(1261) Peoples Rate This