Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3b11a44ea43bd2a9826fe7453823c66b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Uski Aankh Mein Wo Mere Dil Ki Sair Mein Tha - Husain Taj Rizvi Poetry In English - Darsaal

Main Uski Aankh Mein Wo Mere Dil Ki Sair Mein Tha

main us ki aankh mein wo mere dil ki sair mein tha

wo apne shahr mein aur main dayar-e-ghair mein tha

hum apne ghar se bahut dur ja ke lauT aae

kisi ki aankh ka kanTa hamare pair mein tha

mila to ashk-e-nadamat ki tah mein us ka suragh

kisi ke dil mein na kabe mein tha na dair mein tha

main jaanta hun liya ja raha tha mera nam

main dushmanon ki tarah us ke zikr-e-KHair mein tha

na jaane kaise masail the apne rishton mein

sukun sulh ke aalam mein tha na bair mein tha

ye aur baat ki wo sab se pahle Dub gaya

tumhaara 'taj' bhi KHud-agahi ki tair mein tha

(872) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Uski Aankh Mein Wo Mere Dil Ki Sair Mein Tha In English By Famous Poet Husain Taj Rizvi. Main Uski Aankh Mein Wo Mere Dil Ki Sair Mein Tha is written by Husain Taj Rizvi. Read famous Poem Main Uski Aankh Mein Wo Mere Dil Ki Sair Mein Tha for youth and Student by Husain Taj Rizvi. Free Download Main Uski Aankh Mein Wo Mere Dil Ki Sair Mein Tha in PDF.