Mahaul Se Jaise Ki GhuTan Hone Lagi Hai
mahaul se jaise ki ghuTan hone lagi hai
be-kaifiyati uzw-e-badan hone lagi hai
kuchh farq sa mahsus nahin sham-o-sahar mein
uThne ke tasawwur se thakan hone lagi hai
mafqud hui KHunki-e-ehsas nazar se
sabzon ko bhi dekhe se jalan hone lagi hai
kuchh us se gila bhi hai kuchh apni bhi KHataen
yun us ke tasawwur se chubhan hone lagi hai
hassas bhi imroz tabiat se zyaada
aur tez bhi kuchh bu-e-saman hone lagi hai
pahle bhi teri baat hi markaz thi suKHan ka
ab yaad teri sarf-e-suKHan hone lagi hai
ai 'taj' tere ek nasheman ke hasad mein
aa dekh ki taKHrib-e-chaman hone lagi hai
(830) Peoples Rate This