Is Haal Mein Jite Ho To Mar Kyun Nahin Jate
is haal mein jite ho to mar kyun nahin jate
yun TuT chuke ho to bikhar kyun nahin jate
kaise hain ye arman ye kawish ye tag-o-dau
manzil nahin malum to ghar kyun nahin jate
ashkon ki tarah kyun meri palkon pe ruke ho
KHanjar ki tarah dil mein utar kyun nahin jate
mana ki ye sab zaKHm-e-jigar tum ne diye hain
marham se kisi aur ke bhar kyun nahin jate
aaina hai mahaul hai asbab hain tum ho
KHatir meri ek bar sanwar kyun nahin jate
be-KHud the kiya ghair se wada mujhe manzur
aaya hai agar hosh mukar kyun nahin jate
ai 'taj' ummidon ke ye mausam bhi ajab hain
har rut ki tarah ye bhi guzar kyun nahin jate
(1433) Peoples Rate This