Kiran Kiran Ke DaraKHshanda Bab Mere Hain

kiran kiran ke daraKHshanda bab mere hain

tamam raushniyon ke nisab mere hain

shabon ke sabz jazire hain sab meri aqlim

tamam jagti aankhon ke KHwab mere hain

main hun tamam dhaDakte dilon ka shaidai

ye aabgine ye nazuk habab mere hain

tamam umr taKHatub mera mujhi se raha

sawal main ne kiye hain jawab mere hain

KHuda-e-dasht ki taqsim par main raazi hun

ki aab-pare tere hain sarab mere hain

nasib aaj hain kanTe agar to kya gham hai

nai ruton ke shagufta-gulab mere hain

main aaftab ke manind hun naqib-e-'sahar'

siyahiyon pe sabhi ehtisab mere hain

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kiran Kiran Ke DaraKHshanda Bab Mere Hain In English By Famous Poet Husain Sahar. Kiran Kiran Ke DaraKHshanda Bab Mere Hain is written by Husain Sahar. Read famous Poem Kiran Kiran Ke DaraKHshanda Bab Mere Hain for youth and Student by Husain Sahar. Free Download Kiran Kiran Ke DaraKHshanda Bab Mere Hain in PDF.