Itni Si Is Jahan Ki Haqiqat Hai Aur Bas
itni si is jahan ki haqiqat hai aur bas
guftar zer-e-lab hai samaat hai aur bas
kyun aashna-e-chashm ho didar-e-husn ka
ye girya-azmai to aadat hai aur bas
itne se jurm par to na mujh ko tabah rakh
thoDi si mujh mein teri shabahat hai aur bas
us ko jaza saza ke marahil mein de diya
jis pas ek umr ki mohlat hai aur bas
aaya jo daur-e-dasht achanak hi samne
aisa laga ki teri ijazat hai aur bas
hum ne kaha ki KHatm hue sab muamalat
dil ne kaha ki kya hai? qayamat hai! aur bas
aaina-dar hon ki tera parda-dar hon
pesh-e-nigah teri mohabbat hai aur bas
(874) Peoples Rate This