Hercules Aur PaTe-KHan Ki Circus
ye be-hangam be-Dhab duniya
har mutanasib soch ko
puja ke prashad se farba kar deti hai
ya
tangi ki chakki se
wo KHurak khilati hai
soch ki aankhen dhans jati hain
kan laTak jate hain
kisi siDaul KHayal ko
mahbuba nahin milti
hasid bhul-bhulayyan use
jawan hone se pahle buDha kar deti hain
hercules aur paTe-KHan ki
circus se bach kar
KHalis danish ke raste par
jo gung karne wala
sarki rag phaTne se
rahi-e-mulk-e-adam hua
bas ek shoabada-baz hai
jab wo hath ki ek jumbish se
batn-e-hawwa se
sikka paida karta hai
to be-hangam be-Dhab duniya
taliyan piTte piTte
hath suja leti hai
(962) Peoples Rate This