Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e71f916ac70fa89334e782ea94ce8cfb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi Wafur-e-tamanna Kabhi Malamat Ne - Husain Abid Poetry In English - Darsaal

Kabhi Wafur-e-tamanna Kabhi Malamat Ne

kabhi wafur-e-tamanna kabhi malamat ne

thaka diya hai badan roz ki KHajalat ne

main zaKHm zaKHm tha bistar ki silwaTon mein ghira

mera jo haal kiya subh ki malahat ne

faza-e-jabr tujhe chaak chaak kar denge

nigal liye jo sitare teri kasafat ne

kisi jamal ki chhab ho kisi kamal ki zau

ujaD Dala hai pazhmurdagi ki aadat ne

hum aise kaun se gharq-e-nashat-o-aish the jo

hamein hi tak liya KHauf ki risalat ne

ghurur hi ka na bahrup ho 'husain-abid'

jo ijz tujh ko diya hai teri ibaadat ne

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Wafur-e-tamanna Kabhi Malamat Ne In English By Famous Poet Husain Abid. Kabhi Wafur-e-tamanna Kabhi Malamat Ne is written by Husain Abid. Read famous Poem Kabhi Wafur-e-tamanna Kabhi Malamat Ne for youth and Student by Husain Abid. Free Download Kabhi Wafur-e-tamanna Kabhi Malamat Ne in PDF.