Zauq-e-takallum Par Urdu Ne Rah Anokhi Kholi Hai
zauq-e-takallum par urdu ne rah anokhi kholi hai
rang ki gahrai napi hai phul ki KHushbu toli hai
ye nazuk jazbaat ke albele izhaar ki boli hai
urdu pyar ki boli hai
garmae tahzib ki mahfil chamkaya afsane ko
rang bikhera aanchal aanchal rup ka man baDhane ko
shabdon ke pyale mein is ne dil ki lali gholi hai
urdu pyar ki boli hai
'mir' ne dil ki dhaDkan di 'iqbaal' ne fikr ka nur diya
'ghaalib' ne aaghosh ko is ki husn-e-qarib-o-dur diya
jis pe KHazinon ko rashk aae urdu ki wo jholi hai
urdu pyar ki boli hai
krishn ke afsanon ka jadu dilon ka sauda karta hai
'jigar' ka naghma aankhon hi aankhon mein ishaara karta hai
milon se khaliyanon tak raqs mein diwanon ki Toli hai
urdu pyar ki boli hai
git 'firaq' ke jhilmil jhilmil karte hain mashal ki tarah
hurmat ki lai saya-fagan hai sawan ke baadal ki tarah
kis laila ka mahmil hai ye kis gori ki Doli hai
urdu pyar ki boli hai
(1362) Peoples Rate This