Yagangi Mein Bhi Dukh Ghairiyat Ke Sahta Hun
yagangi mein bhi dukh ghairiyat ke sahta hun
chaman mein sabza-e-begana ban ke rahta hun
teri nigah-e-mohabbat ka aasra pa kar
fasana-e-sitam-e-rozgar kahta hun
azim dhaaron ka ruKH pherne ka azm liye
haqir maujon pe tinke ki tarah bahta hun
hai apne zarf ka maqsud imtihan shayad
tere qarib pahunch kar bhi dur rahta hun
KHud apne se bhi chhupaya hai muddaton jis ko
qarib aao ki tum se wo baat kahta hun
tumhaare bas mein nahin mere zaKHm ka marham
main zindagi ke haqaeq ki choT sahta hun
faraaz-e-dar bhi 'hurmat' hai ek manzil auj
koi maqam ho main sar-buland rahta hun
(958) Peoples Rate This