Wo Aalam Hai Ki Har Mauj-e-nafas Hai Ruh Par Bhaari
wo aalam hai ki har mauj-e-nafas hai ruh par bhaari
KHuda jaane ye jina hai ki jine ki adakari
KHuda-wanda tere zauq-e-ata ko kya kahe koi
mili hai hum se KHufta-qismaton ko dil ki bedari
Daraata kya dil-e-sarkash ko ehsas-e-saza lekin
laraz jata hai nam-e-afw se naz-e-KHata-kari
nazar uTThi kisi ki dil ne ek paigham sa paya
ye lamha hai ki hum uDti hui si koi chingari
uThae zindagi ka bojh baDhta ja raha hun main
tamanna-e-subuk-sari na ehsas-e-giranbari
miTai jaegi ye muskuraati nachti duniya
azal se sirf ek din ke liye kya kya hai tayyari
farishte rashk se kya kya na takte hain use 'hurmat'
koi karta hai pahli bar jab azm-e-gunahgari
(1005) Peoples Rate This