Waqt Gardish Mein Ba-andaz-e-digar Hai Ki Jo Tha
waqt gardish mein ba-andaz-e-digar hai ki jo tha
tan mein jaan hai ki jo thi dosh pe sar hai ki jo tha
qafile luTte gae bujhte gae dil lekin
ek hangama sar-e-rahguzar hai ki jo tha
tesha-e-fikr wahi nashtar-e-ehsas wahi
zaKHm-e-sar hai ki jo tha zaKHm-e-jigar hai ki jo tha
sath qadmon ke laga chalta hai apna saya
wahi hum hain wahi sahra-e-safar hai ki jo tha
aadmi apne KHayalon ka sulagta paikar
KHud-nigar hai ki jo tha KHak-basar hai ki jo tha
aankh walon ne to har moD pe badle andaz
ek apna wahi andaz-e-nazar hai ki jo tha
aag jangal ki bujhae ye paDi hai kis ko
wusat-e-jaan mein wahi raqs-e-sharar hai ki jo tha
aql ye teri hi punji hai samajh ya na samajh
dil ek ujDa hua jalta hua ghar hai ki jo tha
puchhne aae hain bichhDe hue lamhe 'hurmat'
kya wahi silsila-e-sham-o-sahar hai ki jo tha
(841) Peoples Rate This