Uske Siwa Kya Apni Daulat
us ke siwa kya apni daulat
soz-e-tamanna dard-e-basirat
apne alawa kaun milega
kis se karne jaen adawat
sikkon ka bazar hai duniya
milti kya ehsas ki qimat
naKHun-e-dauran aur ghazab tha
bharta bhi kya zaKHm-e-farasat
har dhaDkan afsana ban kar
khol rahi hai dil ki haqiqat
zaKHmon phulon ki ye duniya
dil ka jahannum aankh ki jannat
kitne tajarbe ek tamanna
kitne KHwab aur ek mohabbat
but-kada-e-fan teri KHatir
gaDhta hun taKHil ki murat
karte 'hurmat' ki gham-KHwari
gham ne kahan di itni mohlat
(845) Peoples Rate This