Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_263dcf68885f76d16fdcb87a1c197174, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Thahrega Wahi Ran Mein Jo Himmat Ka Dhani Hai - Hurmatul Ikaram Poetry In English - Darsaal

Thahrega Wahi Ran Mein Jo Himmat Ka Dhani Hai

Thahrega wahi ran mein jo himmat ka dhani hai

ye marka-e-KHud-gari-o-KHud-shikani hai

ho KHair ki ai azmat-e-yazdan teri KHatir

insan azal se hadaf-e-ahramani hai

tewar hi mere bhanp liye logon ne warna

duniya mein banae se kahan baat bani hai

pahunchenge teri bazm-e-dil-ara mein bhi ek roz

tarik KHalaon mein abhi KHema-zani hai

Darta hun ki chupke se utar jae na dil mein

ye lamha-e-betab ki neze ki ani hai

ai ahl-e-junun dur nahin manzil-e-shirin

han bich mein ek marhala-e-koh-kani hai

minjumla-e-taqsir na ho ye bhi ki 'hurmat'

muddat hui be-wajh zamane se Thani hai

(1066) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thahrega Wahi Ran Mein Jo Himmat Ka Dhani Hai In English By Famous Poet Hurmatul Ikaram. Thahrega Wahi Ran Mein Jo Himmat Ka Dhani Hai is written by Hurmatul Ikaram. Read famous Poem Thahrega Wahi Ran Mein Jo Himmat Ka Dhani Hai for youth and Student by Hurmatul Ikaram. Free Download Thahrega Wahi Ran Mein Jo Himmat Ka Dhani Hai in PDF.