Surat-e-sabza-e-be-gana Chaman Se Guzre
surat-e-sabza-e-be-gana chaman se guzre
hum musafir ki tarah apne watan se guzre
sahl hai nara-e-mansur magar sahl nahin
har koi marhala-e-dar-o-rasan se guzre
lala-o-gul ko tabassum ki ziya di hum ne
jalwa-e-subh ki manind chaman se guzre
hai ye kya raushni-e-fikr ki tira-baKHti
jalwa-e-ruh na pairahan-e-tan se guzre
wo kare tajziya-e-mausam-e-gul jis ki nazar
bazm-e-gul mein hadd-e-nasrin-o-saman se guzre
dil pe kya guzri ye dil hi ko KHabar hai lekin
muskuraate hue hum dar-e-mehan se guzre
na kisi panw ki aahaT na koi naqsh-e-qadam
qafile ruh ke yun kucha-e-tan se guzre
ek zarre mein kabhi kho gain kitni kirnen
kitne KHurshid kabhi ek kiran se guzre
nikhat-e-gesu-e-jaanan bhi ajab thi 'hurmat'
hum tasawwur mein kai bar KHutan se guzre
(844) Peoples Rate This