Rah-e-talab Mein BaDi Turfagi Ke Sath Chale
rah-e-talab mein baDi turfagi ke sath chale
kisi ke sath na the aur sabhi ke sath chale
na ham-safar koi paya na rahbar chaha
wo rah-rau hain ki hum zindagi ke sath chale
fareb KHud ko diye aur KHud hi pachhtae
kisi ka jo na hua hum usi ke sath chale
kaho ki hoti hai ek chiz sar-bulandi bhi
kaha ye kis ne ki hum sar-kashi ke sath chale
rahe sharik-e-safar e'timad-e-ham-qadmi
ye kya zarur hai koi kisi ke sath chale
shikasta-pa hi sahi rahrawan-e-dard magar
ye kam nahin ki salamat-rawi ke sath chale
KHud apna soz-e-talab de sake na jis ka sath
dayar-e-gham mein wo kis raushni ke sath chale
ye kah ke ho gae KHud se bhi hum juda 'hurmat'
safar mein kaun kisi ajnabi ke sath chale
(883) Peoples Rate This